Sawan Aaya Hai [English translation]

Songs   2024-07-04 12:35:23

Sawan Aaya Hai [English translation]

Humko yeh batao

Door kaise tum rehte ho

Kaise judaai ka

Gham yaara tum sehte ho

Hum tanha mar jayenge

Yaara teri yaad mein

Dekho bheege hai kitna

Ashqon ki barsat mein

Zakham dikhaun kaise dil ke mere

Logo ne kitna sataya hai

Mujhe na aur rulana tu

Sawan aaya hai

Mere na dardon ko mitana tu

Sawan aaya hai

Sabse chhupa ke tujhe sene se lagana hai

Pyar me tere had se guzar jana hai

Itna pyaar kisi pe pehli baar aaya hai

Mohabbat barsa dena tu

Sawan aaya hai…

Dil yeh dhadakta hai

Tere dil ke hi dhadakne se

Hum bhi tadapte hai

Yaar tere hi thadapne se

Ishq main dooba dooba hun

Mujhko na ab hosh hai

Yaar ishq ki zameen pe

Ab asman behosh hai

Kaise dikhaun ab junoon ye mera

Tere ishq ne pagal banaya hai

Dil nahi aur dukhana tu

Sawan aaya hai

Tere bhi zakham dikhana tu

Sawan aaya hai

Tumse door rehna

Ek saza hai majburi hai

Meri zindagi toh

Yaar tere bin adhuri hai

Log toh kya kya kehte hai

Dil seh seh ke rota hai

Kaise tumko bataun

Mere sath sanam kya hota hai

Apne paraye hone lage hain

Jab se tumko apna banaya hai

Hamesha saath nibhana tu

Sawan aaya hai

Tere aur mere milne ka

Mausam aaya hai

Neha Kakkar more
  • country:India
  • Languages:Hindi, Punjabi
  • Genre:
  • Official site:
  • Wiki:https://en.wikipedia.org/wiki/Neha_Kakkar
Neha Kakkar Lyrics more
Neha Kakkar Featuring Lyrics more
Neha Kakkar Also Performed Pyrics more
Excellent Songs recommendation
Popular Songs
Artists
Songs